ye hijr kā rāsta hai jis par maiñ tanhā tanhā sī chal rahī huuñ
bas us kī yādoñ kī dhuup hai aur maiñ qatra qatra pighal rahī huuñ
ye vasl-lamhoñ kī raushnī hai jo dil kī duniyā meñ aa basī hai
mahaktī yādoñ kī chāñdnī hai maiñ jis kī kirnoñ se jal rahī huuñ
rah-e-vafā meñ bhaTaktī rahtī jo tere sapnoñ meñ gum na rahtī
tire ḳhayāloñ meñ jī rahī huuñ tire tasavvur meñ Dhal rahī huuñ
shikasta-ḳhvāboñ kī kirchiyāñ haiñ jo merī āñkhoñ meñ chubh rahī haiñ
maiñ ḳhār-zāroñ meñ chal rahī huuñ maiñ girte girte sambhal rahī huuñ
zamāne bhar kī ye talḳhiyāñ haiñ jo mere lahje meñ aa basī haiñ
maiñ apne sheroñ meñ dhīre dhīre ye zahar-e-māya ugal rahī huuñ
karūñgī kyā bāl-o-par ko apne qafas meñ jiinā jo lāzmī hai
kahāñ hai 'shāhīn' shādmānī dukhoñ kī duniyā meñ pal rahī huuñ