hijr meñ bhī ye mirī saañs agar baaqī hai
is kā matlab hai mohabbat meñ asar baaqī hai
chhoḌ ye baat mile zaḳhm kahāñ se tujh ko
zindagī itnā batā kitnā safar baaqī hai
tum sitamgar ho na ghabrāo mirī hālat par
zaḳhm sahne kā abhī mujh meñ hunar baaqī hai
hijr kī aag meñ jalne se nahīñ Dartī maiñ
ishq mujh meñ abhī be-ḳhauf-o-ḳhatar baaqī hai
mere tinke bhī hue raakh to kyā harj bhalā
ātish-e-ishq batā kitnā ye ghar baaqī hai
saañs lenā hī to 'shāhīn' nahīñ hai jīvan
DhūñD kar laao mirī ruuh agar baaqī hai