Najma Shaheen Khosa

ibtida dard hai intiha dard hai

Najma Shaheen Khosa

ibtidā dard hai intihā dard hai
ishq kā dard to lā-davā dard hai
maiñ ne pūchhā vafā kā sila jo kabhī
us ne hañs kar ye mujh se kahā dard hai
pyaar se ishq tak jā-ba-jā raushnī
pyaar se ishq tak jā-ba-jā dard hai
ye nayā phuul hai aur ye ḳhushbū na.ī
ye na.ī shaam hai aur nayā dard hai
zaḳhm kaisā hai bhartā nahīñ hai kabhī
dard hotā nahīñ hai ye kyā dard hai
maiñ to Darne lagī us kī ta.abīr se
pyaar āñkhoñ meñ jab se banā dard hai
ek pal meñ kahāñ kho ga.ī hai ḳhushī
ab to ulfat kī bas ik sazā dard hai
chhoḌ 'shāhīñ' vafā kā tū ab tazkira
bevafā hai ḳhushī bā-vafā dard hai
Top Urdushayar.com