Najma Shaheen Khosa

kaise kahen ki kaise guzari hai zindagi

Najma Shaheen Khosa

kaise kaheñ ki kaise guzārī hai zindagī
kyā bojh thī ki sar se utārī hai zindagī
maqtal the gaam gaam ye rasta tavīl thā
apne lahū se ham ne sañvārī hai zindagī
kartī hai ḳhud talāsh ye kāñToñ kā rāsta
is vāste sukūn se aarī hai zindagī
qaa.em hai ek fāsla donoñ ke darmiyāñ
shak aur yaqīñ ke saath ab jaarī hai zindagī
maiñ jāntī huuñ zindagī hai karb-o-iztirāb
sāñsoñ ke bojh se baḌī bhārī hai zindagī
'shāhīn' apnī haar par hai mutma.in ki bas
ik jiit ke liye hī to haarī hai zindagī
Top Urdushayar.com