Najma Shaheen Khosa

gai ruton ki rafaqaton mein tumhein milungi

Najma Shaheen Khosa

ga.ī rutoñ kī rafāqatoñ meñ tumheñ milūñgī
maiñ chāhatoñ kī riyāzatoñ meñ tumheñ milūñgī
tum apnī manzil ke rāstoñ meñ jo dekh paao
to rāstoñ kī sa.ūbatoñ meñ tumheñ milūñgī
nahīñ milūñgī kisī bhī vasl-āshnā safar meñ
maiñ hijr-mausam kī shiddatoñ meñ tumheñ milūñgī
ki maiñ ne chāhat ko bhī aqīda banā liyā hai
agar milī to aqīdatoñ meñ tumheñ milūñgī
maiñ jāntī huuñ ki tere idrāk meñ nahīñ huuñ
magar vafā kī shabāhatoñ meñ tumheñ milūñgī
ho qaid tum apnī zaat ke ḳhol meñ agarche
bas ek ḳhushbū huuñ dastakoñ meñ tumheñ milūñgī
vo bint-e-havvā ko go nazar se girā rahe haiñ
magar vo kahtī hai rif.atoñ meñ tumheñ milūñgī
nahīñ hai 'shāhīn' ḳhvāb par e'tibār mujh ko
so zindagī kī haqīqatoñ meñ tumheñ milūñgī
Top Urdushayar.com