phir misr ke bāzār meñ nīlām huā kyuuñ
ai ishq batā terā ye anjām huā kyuuñ
ham bā.is-e-rāhat jise samjhe the vo lamha
ab apne liye bā.is-e-ālām huā kyuuñ
ai ishq falak par tujhe likhā jo ḳhudā ne
phir terā muqaddar bhalā ib.hām huā kyuuñ
ai ishq tirā naam hai jab sach kī alāmat
ai ishq tū rusvā yuuñ sar-e-ām huā kyuuñ
jab ek hī sajde meñ tirā bhed chhupā hai
phir sañg-e-malāmat hī tirā daam huā kyuuñ
ai aañkh tū be-ḳhvāb hai ḳhvāboñ kī talab meñ
ye hijr hī āḳhir tirā in.aam huā kyuuñ
chehre pe tire kis liye hairat hai abhī tak
ye itnī vazāhat pe bhī ib.hām huā kyuuñ
is dil ko hai mahbūb vahī dard kā naġhma
is dil meñ ta.ajjub hai ye kohrām huā kyuuñ
jo terī mohabbat ko samajh hī nahīñ paayā
'shāhīn' ye dil us ke bhalā naam huā kyuuñ