Najma Shaheen Khosa

dil ko zara qarar tha wo bhi nahin raha

Najma Shaheen Khosa

dil ko zarā qarār thā vo bhī nahīñ rahā
āñkhoñ ko intizār thā vo bhī nahīñ rahā
vo saath thā to saath meñ merī bhī zaat thī
merā kahīñ shumār thaa, vo bhī nahīñ rahā
us se hue judā to phir ḳhud ko bhī kho diyā
ḳhud par jo e'tibār thā vo bhī nahīñ rahā
dāman meñ koī chāñd, sitāra na āftāb
jugnū par inhisār thā vo bhī nahīñ rahā
jhelī thiiñ jis ke sañg hī ye ranjisheñ kabhī
ik dal hī ġham-gusār thā vo bhī nahīñ rahā
uljhā thā mere dil meñ jo muddat se ik savāl
lab par jo baar baar thā vo bhī nahīñ rahā
jis par charāġh roz jalātī thī raat ko
dil meñ jo ik mazār thā vo bhī nahīñ rahā
muddat se us kī raah meñ dil thā bichhā huā
sochoñ meñ vasl-e-yār thā vo bhī nahīñ rahā
taqdīr kī asiir huuñ jis ke liye ye dil
muddat se ashk-bār thā vo bhī nahīñ rahā
ma.abūd mere merā muqaddar tū dekh le
ḳhud par jo iḳhtiyār thā vo bhī nahīñ rahā
Top Urdushayar.com