ye jo ishq-e-masnad ke log haiñ unheñ ramz saare sikhā piyā
ye junūn-e-ishq kī dāstāñ unheñ harf harf sunā piyā
mire chārāgar maiñ huuñ dar-ba-dar maiñ to thak ga.ī hai ajab safar
mirī be-nishāñ sī haiñ manzileñ mujhe rāsta bhī dikhā piyā
na hudūd meñ na quyūd meñ mirā dil tire hī vajūd meñ
ye sujūd kā hasīñ pairahan mirī ruuh par to sajā piyā
maiñ to aas thī maiñ to pyaas thī kisī phuul kī maiñ bhī baas thī
mirī pattiyāñ gireñ jā-ba-jā unheñ shāḳh par to sajā piyā
maiñ faqīr huuñ maiñ haqīr huuñ kisī ḳhvāb kī na asiir huuñ
maiñ aziiz huuñ to tujhe hī bas so azīz-tar hī banā piyā
maiñ falak se aa.ī ḳhatā mirī use DhūñDnā hai vafā mirī
ye jafā kī jo haiñ haqīqateñ mirī aañkh ko vo dikhā piyā
mire āsmāñ mire sā.ebāñ tū hī rāz-dāñ tū hī mehrbāñ
jahāñ lā-makāñ ke haiñ silsile vahīñ merā ghar bhī banā piyā
ye jo ārzūoñ kā des hai ye jo ḳhaak ḳhaak sā bhes hai
jo azal abad kā ye bhed hai use bhed hī meñ batā piyā
ye qadam qadam pe bashārateñ ye nazar nazar meñ ziyārateñ
ye basārteñ ye bujhārteñ mire shahr-e-dil ko dikhā piyā
ye jo mere man meñ hai raushnī yahī zindagī yahī bandagī
mirī fikr meñ tire zikr meñ jo charāġh haiñ vo jalā piyā