ajnabī shahar kī ajnabī shaam meñ
zindagī Dhal ga.ī malgajī shaam meñ
shaam āñkhoñ meñ utrī usī shaam ko
zindagī se ga.ī zindagī shaam meñ
dard kī lahr meñ zindagī bah ga.ī
umr yuuñ kaT ga.ī hijr kī shaam meñ
ishq par āfrīñ jo salāmat rahā
us bikhartī huī surma.ī shaam meñ
merī palkoñ kī chilman pe jo ḳhvāb the
vo to sab jal ga.e is bujhī shaam meñ
har taraf ashk aur siskiyāñ hijr kī
dard hī dard hai har ghaḌī shaam meñ
āḳhirī baar aayā thā milne koī
hijr mujh ko milā vasl kī shaam meñ
raat 'shāhīn' āñkhoñ meñ kaTne lagī
is tarah gum huī raushnī shaam meñ