bhūlnā chāhtā kahāñ huuñ maiñ
dard hai aur bas ravāñ huuñ maiñ
aaj kuchh yaad aa rahī ho yuuñ
tum zamīñ aur āsmāñ huuñ maiñ
kyā huā jo hisāb māñgā hai
kyā ġhamoñ kī koī dukāñ huuñ maiñ
raushnī kuchh charāġh kī laao
jis jagah dafn huuñ nihāñ huuñ maiñ
din dikhā.e zamāne ne aise
ab nahīñ mīr-e-kārvāñ huuñ maiñ
sādgī hai adā meñ us kī jo
ishq meñ yaar rā.egāñ huuñ maiñ
zaat 'ḳhuddār' kī dikhī jab jab
shā.irī kā hasīñ samāñ huuñ maiñ