Fazal Husain Sabir

wo saf ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam nahin

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
vo saaf ruḳh pe jo zulf-e-siyāh-fām nahīñ
patā ye hai ki halab ke qarīb shaam nahīñ
tumhāre ruḳh se kuchh achchhā mah-e-tamām nahīñ
tumhāre qasr se ūñchā falak kā baam nahīñ
vo kaam le ke bhī kahte haiñ tujh se kaam nahīñ
salām aisī itā.at ko maiñ ġhulām nahīñ
kabhī hai dasht-navardī kabhī haiñ gulshan meñ
ġharaz junūñ meñ hamārā kahīñ qayām nahīñ
vo shām-e-vasl hai ai ham-nashīñ sahar jis kī
vo sub.h-e-hijr hai ai dil ki jis kī shaam nahīñ
huī hai ab to unheñ lafz lafz se nafrat
javāb-e-ḳhat meñ kahīñ daad saad laam nahīñ
sharāb-ḳhāna-e-duniyā meñ ai balā-nosho
kisī ko sāġhar-e-mai kī tarah qayām nahīñ
pilā de muft mujhe ai saḳhī ke laal sharāb
ġharīb-e-riñd huuñ merī girah meñ daam nahīñ
hazār aib haiñ ham meñ magar vo hai sattār
ḳhudā kā shukr hai badnām apnā naam nahīñ
bas aaj roz kā jhagḌā miTā de ai qātil
adū nahīñ tirī mahfil meñ yā ġhulām nahīñ
hazār kabk ko ho naaz chaal par apnī
magar vo aap ke mānind ḳhush-ḳhirām nahīñ
ye kis ke paañv ke chhāle ne kar diyā sairāb
jo aaj ḳhār-e-bayābāñ bhī tishna-kām nahīñ
savāl-e-vasl par lillāh aaj haañ kah de
dahan se tere nikaltā rahā mudām nahīñ
dikhā ke abrū-e-pur-ḳham kahā ye zālim ne
kare na chaak kaleja ye vo husām nahīñ
na sub.h-e-vasl karo va.ada shaam kā sāhab
yahāñ hai sham-e-sahar ārzū-e-shām nahīñ
piyāla duudh kā gāloñ ke sāmne hai rakhā
vo gaal par tire zulf-e-siyāh-fām nahīñ
janāb-e-shaiḳh bhī aa jaa.eñ to pilā.ūñ unheñ
ye māh-e-īd hai 'sābir' mah-e-siyām nahīñ
maiñ un se daad bhī letā nahīñ huuñ ai 'sābir'
samajhte mere suḳhan ko agar avaam nahīñ
Top Urdushayar.com