bahādurī jo nahīñ hai to buzdilī bhī nahīñ
bahut hī chāhā magar ham se ḳhud-kushī na huī
kuchh is tarah se ḳhayāloñ ne raushnī baḳhshī
tumhārī zulf bhī bikhrī to tīrgī na huī
kisī ke dard ko tum jānte bhalā kyūñkar
ḳhud apne dard se jab tum ko āgahī na huī
vo tīrgī thī musallat fazā-e-ālam par
lahū ke diip jale phir bhī raushnī na huī
maiñ jī rahā huuñ dil-e-murda le ke siine meñ
ise to maut kaho ye to zindagī na huī