Fazal Husain Sabir

jis mein na KHushi ho wo mohabbat nahin achchhi

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
jis meñ na ḳhushī ho vo mohabbat nahīñ achchhī
kulfat se jo ḳhālī ho vo rāhat nahīñ achchhī
kahtā hai hasīnoñ kī mohabbat nahīñ achchhī
aur nāseh-e-kam-fahm ye aadat nahīñ achchhī
tum par jo na aa jaa.e to vo dil nahīñ achchhā
tum par jo na maa.il ho tabī.at nahīñ achchhī
be-dil liye dete ho jo tum ġhairoñ ko bose
nuqsān hai is meñ ye muravvat nahīñ achchhī
dilvā.eñ mujhe gāliyāñ ġhairoñ se sar-e-bazm
o shoḳh ye dar-parda sharārat nahīñ achchhī
dīvāne nahīñ ham jo giraftār-e-balā hoñ
vāqif haiñ ki in zulfoñ kī ulfat nahīñ achchhī
'sābir' ne sar-e-bazm jo chheḌā to vo bole
kambaḳht yahī to tirī aadat nahīñ achchhī
'sābir' shajar-e-ḳhushk se ummīd-e-samar kyā
jo faiz se ḳhālī ho vo ḳhidmat nahīñ achchhī
Top Urdushayar.com