kahāñ jā.egā dard un kī judā.ī kā ḳhafā ho kar
mire dil se nikal kar mere pahlū se judā ho kar
janāb-e-shaiḳh masjid meñ na baiTheñ pārsā ho kar
baqā hāsil kareñ us kī mohabbat meñ fanā ho kar
ta.ajjub hai butoñ ko baat karnā bhī nahīñ aatā
ḳhudā.ī meñ ḳhudā.ī karne baiThe haiñ ḳhudā ho kar
maiñ vo huuñ saḳht jo uf bhī na niklegī mire muñh se
jafāoñ par jafā.eñ jis qadar tū chāhtā ho kar
bajā kahte haiñ jo kahte haiñ tujh ko yār-e-harjā.ī
ki tū rahtā hai sab ke dil meñ sab kā āshnā ho kar
musībat meñ rahā karte haiñ jo bhī daana duniyā meñ
unhīñ ko pīstā hai charḳh-e-zālim āsiyā ho kar
tumhāre ham hamāre tum tumheñ kyā vāsta is se
adū ke āshnā kyuuñ ho hamāre āshnā ho kar
sar-e-mahfil jo mujh ko dekhte haiñ vo kan-āñkhiyoñ se
chhupī baiThī hai shoḳhī un kī āñkhoñ meñ hayā ho kar
sahar tak us ke sadmoñ se ho jāñ-bar ġhair mumkin hai
shab-e-furqat mire ghar aa.ī hai merī qazā ho kar
kahāñ tak shauq-e-nazzāra hai be-ḳhud ho ke ai 'sābir'
paḌā huuñ maiñ kisī kī rahguzar meñ naqsh-e-pā ho kar
janāb-e-dil kī bātoñ meñ na aanā dekh ai 'sābir'
ye hazrat rāh-e-ulfat meñ haiñ rahzan rahnumā ho kar