Fazal Husain Sabir

jahan se be-talluq aap se begana ho jae

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
jahāñ se be-ta.alluq aap se begāna ho jaa.e
baḌā hoshiyār hai vo jo tirā dīvāna ho jaa.e
raheñ baaqī na us ke hosh vo dīvāna ho jaa.e
karam jis par tirā ai jalva-e-jānāna ho jaa.e
na kyuuñ vo be-niyāz-e-shīsha-o-paimāna ho jaa.e
tumhārī mast mast āñkhoñ kā jo mastāna ho jaa.e
adā-o-nāz aur andāz kā shaidā na ho jaa.e
mirā nāzoñ kā paalā dil kahīñ un kā na ho jaa.e
jabīn-e-shauq ho sañg-e-dar-e-jānāñ se mas aisī
jabīn-e-shauq hī sañg-e-dar-e-jānāñ na ho jaa.e
haqīqat meñ vahī dil mustahiq hai dil dukhāne kā
tirī sham-e-ruḳh-e-raushan kā jo parvāna ho jaa.e
karāmat piine vāloñ kī abhī dekhī nahīñ vaa.iz
jahāñ jam jaa.eñ bāda-kash vahīñ paimāna ho jaa.e
sadā-e-'sābir'-e-ġhamgīñ sunī jab apne kūche meñ
kahā ki kyā kareñ koī agar dīvāna ho jaa.e
Top Urdushayar.com