Fazal Husain Sabir

teri taswir ko taskin-e-jigar samjhe hain

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
terī tasvīr ko taskīn-e-jigar samjhe haiñ
tere dīdār ko ham zauq-e-nazar samjhe haiñ
qahr kī āñkhoñ se tum ne hameñ jab bhī dekhā
ham ise ain mohabbat kī nazar samjhe haiñ
hai yahī un kā samajhnā to ḳhudā hāfiz hai
tālib-e-ḳhair ko vo bāni-e-shar samjhe haiñ
un kī mānind koī sāhab-e-idrāk kahāñ
jo farishte nahīñ samjhe vo bashar samjhe haiñ
apnī āñkhoñ meñ jagah dete haiñ mujh ko 'sābir'
mere ahbāb mujhe kohl-e-basar samjhe haiñ
Top Urdushayar.com