pahlū meñ dil hai dard-e-mohabbat liye hue
baiThā huuñ kā.enāt kī daulat liye hue
is husn-e-ishva-gar se farishte na bach sake
hai aadmī to phir bashariyyat liye hue
allāh re ġhubār guzargāh-e-yār kā
hai zarra zarra tuur kī azmat liye hue
hogī qubūl dāvar-e-mahshar ye pesh-kash
aayā huuñ maiñ matā.a-e-nadāmat liye hue
hoñ bāryāb-e-bazm vo saa.at kab aa.egī
muddat guzar chukī hai ijāzat liye hue
hālāñki muskurāte haiñ vo vaqt-e-guftugū
lahja magar hai saaf kudūrat liye hue
mar kar bhī gul-ruḳhoñ se judā.ī na ho sakī
phūloñ kā Dher hai mirī turbat liye hue
gumnām thā to kunj-e-qanā.at nasīb thā
phirtī hai chār-sū mirī shohrat liye hue
har gosha mere qalb kā maidān-e-hashr hai
hai muḳhtasar makān ye vus.at liye hue
naale nikal ke dil se agar arsh tak ga.e
jā.eñge ai falak ye tirī chhat liye hue
ik hūr-vash ke kūche kā 'sābir' hai dil pe naqsh
baiThā huuñ maiñ kanār meñ jannat liye hue