Fazal Husain Sabir

KHak mein mujhko meri jaan mila rakkha hai

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
ḳhaak meñ mujh ko mirī jaan milā rakkhā hai
kyā maiñ aañsū huuñ jo nazroñ se girā rakkhā hai
ik tumhīñ ko nahīñ bechain banā rakkhā hai
arsh bhī to mire nāloñ se hilā rakkhā hai
sorish-e-hijr ne ik sīm-badan ke mujh ko
aisā phūñkā hai ki iksīr banā rakkhā hai
ik parī-vash kī ināyat ne zamāne meñ mujhe
vaqt kā apne sulaimān banā rakkhā hai
apne saaya se bhaḌak kar kahā us shoḳh ne yuuñ
mire allāh kise saath lagā rakhā hai
dil to detā huuñ mirī jaan magar ġham hai yahī
mere armānoñ ne ghar is meñ banā rakkhā hai
dil ke tālib jo huā karte haiñ āshiq se hasīñ
to unheñ husn ne ye kaam sikhā rakkhā hai
sāmne aate hue kis liye sharmāte ho
jab mirī aañkh meñ ghar tum ne banā rakkhā hai
muft dil ko mire ai barq vash ulfat hai tirī
muztarib sūrat-e-sīmāb banā rakkhā hai
terī duz-dīda nigāheñ ye pata detī haiñ
ki inhīñ choroñ ne dil merā churā rakkhā hai
maal chorī kā nahīñ jab to batā do mujh ko
tum ne kis chiiz ko muTThī meñ dabā rakkhā hai
tum ne kyuuñ dil meñ jagah dī hai butoñ ko 'sābir'
tum ne kyuuñ kaaba ko but-ḳhāna banā rakkhā hai
Top Urdushayar.com