Fazal Husain Sabir

pur-soz jigar ke nale bhi dil-soz nikalte rahte hain

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
pur-soz jigar ke naale bhī dil-soz nikalte rahte haiñ
haañ sham.a bhī jaltī rahtī hai parvāne bhī jalte rahte haiñ
ḳhuddām-e-harīm-e-nāz jo haiñ allāh re un kī ḳhush-baḳhtī
dīdār bhī hotā rahtā hai armāñ bhī nikalte rahte haiñ
ġhurbat meñ vatan aur ahl-e-vatan kī yaad jab aa jaatī hai mujhe
dil hai ki taḌaptā rahtā hai aur ashk bhī Dhalte rahte haiñ
ai shaiḳh-o-barahman dekhtā huuñ din raat tumhāre murdoñ ko
ye ḳhaak meñ milte rahte haiñ vo aag meñ jalte rahte haiñ
ā.īna husn-e-sabīh bhī kyā dekhe ki vo vaqt-e-nazzāra
dam bhar nahīñ jamte shauq-e-nazar ke paañv phisalte rahte haiñ
ai shaiḳh-e-haram e.ajāz hai ye pur-kaif nigāh-e-sāqī kā
bā-hosh to girte rahte haiñ behosh sambhalte rahte haiñ
ārām-o-musībat kyā shai hai hotā nahīñ kuchh ehsās unheñ
manzil kī jo dhun meñ haiñ 'sābir' din-rāt vo chalte rahte haiñ
Top Urdushayar.com