dil mirā jab tak kisī ke husn par maa.il na thā
zindagī meñ zindagī kā lutf kuchh hāsil na thā
mere hisse kā koī sāġhar sar-e-mahfil na thā
tere mai-noshoñ meñ saaqī kyā maiñ is qābil na thā
jāñ-ba-lab mahfil meñ un kī maiñ na thā yā dil na thā
kaun thā jo un ke tīr-e-nāz kā ghā.il na thā
ik nazar milte hī un kā ho gayā kyā qahr hai
jis ko ham samajhte the apnā dil vo apnā dil na thā
bahr-e-ulfat kī talātum-ḳhez tuġhyānī na pūchh
har taraf tūfān hī tūfān hai sāhil na thā
nā-umīdī dard-o-ġham ranj-o-musībat ke sivā
chāhne vāloñ ko un ke aur kuchh hāsil na thā
ik ishāre par bahāyā ḳhuun paanī kī tarah
un ke jāñ-bāzoñ meñ koī mujh sā dariyā-dil na thā
sahl kar dī zindagī un kī umīd-e-dīd ne
varna un ke hijr meñ marnā koī mushkil na thā
aah 'sābir' jab huā merā safīna ġharq-e-āb
maiñ thā majbūrī thī aur koī lab-e-sāhil na thā