tirī galī sī kisī bhī galī kī shaan nahīñ
ki is zamīn pe sunte haiñ āsmān nahīñ
mizha se baḌh ke nahīñ hai jo koī tīr-e-hasīñ
tumhāre abrū se dilkash koī kamān nahīñ
sisak rahe haiñ jo saḌkoñ pe saiñkaḌoñ insāñ
tumhāre shahar meñ shāyad koī makān nahīñ
yahīñ bahisht hai yaaro yahīñ hai dozaḳh bhī
ki is jahān se aage koī jahān nahīñ
mirī ḳhamoshī kā matlab nahīñ qarār-o-sukūñ
bharā hai dard se dil tāqat-e-bayān nahīñ
adū ko dete haiñ tarjīh mujh se ḳhādim par
bure-bhale ke parī-vash mizāj-dān nahīñ
hamāre shahar meñ har ek is tarah chup hai
ki jaise muñh meñ kisī shaḳhs ke zabān nahīñ
ye ashk manzil-e-āḳhir haiñ ishq kī hamdam
ki in sitāroñ se aage koī nishān nahīñ
ho 'faḳhr' ḳhaak mujhe qaum kī taraqqī par
jo fard-e-qaum ye mazdūr aur kisān nahīñ