Fazal Husain Sabir

achchha jo bura aapne chaha na kisi ka

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
achchhā jo burā aap ne chāhā na kisī kā
dīvāna kyuuñ na ho dil-e-farzāna kisī kā
maanā ki hai us shoḳh se yārāna kisī kā
dam bhartā hai phir kyuuñ dil-e-dīvāna kisī kā
lau us kī faqat sham-e-risālat se lagī hai
mushtāq nahīñ bazm meñ parvāna kisī kā
aate nahīñ is rashk se vo ḳhāna-e-dil meñ
ābād na ho jaa.e ye vīrāna kisī kā
ai dil hai abas us se tamannā-e-mulāqāt
vo shoḳh na hogā kabhī apnā na kisī kā
un ke dur-e-dandāñ ke tasavvur meñ shab-e-hijr
har ashk dam-e-girya hai durdāna kisī kā
jaane se tire aa.e mire dil meñ ġham-o-rañj
pahle to sivā tere guzar thā na kisī kā
hargiz na sune vo gul-o-bulbul kī kahānī
ho gosh-zad us ke agar afsāna kisī kā
bole vo hujūm-e-ġham-o-hasrat ko jo dekhā
kyuuñ is meñ raheñ ham ki hai kāshāna kisī kā
kuchh duur nahīñ manzil-e-maqsūd yahāñ se
de saath agar himmat-e-mardāna kisī kā
aapas meñ jhagaḌte haiñ agar shaiḳh-o-barahman
masjid hī kisī kī hai na but-ḳhāna kisī kā
phir gulshan-e-jannat kī na ho aarzū us ko
maskan hai agar kūcha-e-jānāna kisī kā
allāh re rutba ki huā qais qadam-bos
sahrā meñ jo pahuñchā koī dīvāna kisī kā
bhaTTī meñ jo ho dafn koī bāda-kash-e-riñd
gumbad abhī ho jā.egā ḳhum-ḳhāna kisī kā
allāh re tajāhul mire ahbāb se pūchhā
dīvāna hai kyā 'sābir'-e-farzāna kisī kā
Top Urdushayar.com