pūchho na ye firāq meñ kyā terā haal hai
marnā kamāl-e-sahal hai jiinā muhāl hai
ye husn huur kā na parī kā jamāl hai
ḳhūbān-e-dahr meñ to adīm-ul-misāl hai
ai jazb-e-ishq sirf ye terā kamāl hai
un kā mujhe ḳhayāl unheñ merā ḳhayāl hai
bīmār-e-dard-o-ġham kī haqīqat na pūchhiye
kal aur haal us kā thā aaj aur haal hai
ik chaudhvīñ ke chāñd par hī munhasir nahīñ
yūñhī har ek shai ko urūj-o-zavāl hai
vāqif haiñ mehr-o-mah kī haqīqat se ḳhuub ham
is meñ tirā jalāl hai is meñ jamāl hai
mirrīḳh kāñptā hai tumhāre jalāl se
tum se milā.e aañkh ye kis kī majāl hai
kar dūñgā sard nār-e-jahannam ko hashr meñ
kaafī use mirā araq-e-infi.āl hai
us sarv-qad ke qad se hai jis aadmī ko ishq
sarsabz hai vo baaġh jahāñ meñ nihāl hai
ai shaiḳh salsabīl ho yā ho do-ātisha
piinā koī harām nahīñ hai halāl hai
'sābir' tirā kalām suneñ kyuuñ na ahl-e-fan
bandish ajab hai aur ajab bol-chāl hai