Fazal Husain Sabir

hum dekhte hain unki taraf bar bar kyun

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
ham dekhte haiñ un kī taraf baar baar kyuuñ
apnī nazar pe ham ko nahīñ iḳhtiyār kyuuñ
vo mujh se pūchhte haiñ ki ho be-qarār kyuuñ
maiñ un se pūchhtā huuñ ki ho trahdār kyuuñ
dariyā bahā rahī tū ai chashm-e-zār kyuuñ
dam bhar bhī TūTtā nahīñ ashkoñ kā taar kyuuñ
tum mujh pe Dhā rahe ho sitam baar baar kyuuñ
āḳhir rulā rahe ho mujhe zaar zaar kyuuñ
pazhmurda hote jaate haiñ gulhā-e-dāġh-e-dil
aatī nahīñ chaman meñ hamāre bahār kyuuñ
kyā phūñk kar rahegī mire āshiyāne ko
bijlī lapak rahī hai idhar baar baar kyuuñ
va.ada hī va.ada thā na vo aa.e na ā.eñge
ai chashm-e-ārzū hai tujhe intizār kyuuñ
apnī nazar se pūchhiye hāl-e-dil-e-hazīñ
be-iḳhtiyār kyuuñ hai nahīñ iḳhtiyār kyuuñ
jab terī rahmatoñ kā nahīñ hai koī shumār
isyāñ kā mere hotā hai yārab shumār kyuuñ
kyā haiñ kisī ke gesu-e-mushkīñ khule hue
hai gulshan-e-jahāñ kī fazā itr-bār kyuuñ
apnī tarah mujhe bhī karegī tamām kyā
taḌpā rahī hai mujh ko shab-e-intizār kyuuñ
haiñ yuuñ to trahdār zamāne meñ aur bhī
lekin hai aap hī pe zamāna nisār kyuuñ
zaḳhmī haiñ donoñ kyā tire tīr-e-nigāh ke
dil meñ ḳhalish hai aur jigar dāġh-dār kyuuñ
'sābir' kī zindagī meñ to pūchhā na aap ne
marne ke ba.ad pūchh rahe haiñ mazār kyuuñ
Top Urdushayar.com