Fazal Husain Sabir

jo us be-rahm par apna dil-e-KHana-KHarab aaya

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
jo us be-rahm par apnā dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
ga.e sabr-o-tahammul hosh-o-tāqat iztirāb aayā
havā badlī ghaTā chhā.ī vo bārish kā sahāb aayā
magar ab tak na ai pīr-e-muġhāñ daur-e-sharāb aayā
sar-e-mahshar vo yār-e-sho.ala-rū jab be-naqāb aayā
to ahl-e-hashr chīḳh uTThe zamīñ par āftāb aayā
sar-e-mahfil adū se vasl kā iqrār karnā thā
tumheñ kuchh bhī hayā aa.ī tumheñ kuchh bhī hijāb aayā
shab-e-furqat kisī ne bhī na mujh nākām ko pūchhā
na tum aa.e na maut aa.ī na sabr aayā na ḳhvāb aayā
jafā-jū sañg-dil be-rahm hai va.ada-shikan hai vo
tū aayā bhī to kis par ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
ġhazab hai yaar ne sar kaaT kar bhejā hai qāsid kā
javāb aayā hamāre naame kā to ye javāb aayā
huī tauba bhī TukḌe TukḌe misl-e-sāġhar-o-mīnā
hamāre sāmne ai shaiḳh jab daur-e-sharāb aayā
jo chhū lī zulf-e-pur-ḳham maiñ ne barham ho ga.e mujh se
hañsī kī baat thī sāhab magar tum ko itaab aayā
khulā sab haal ham par is jahāñ kī be-sabātī kā
miTā sat.h-e-samandar par ubhar kar jo habāb aayā
abhī tak hai vahī ġhaflat safedī bāloñ par aa.ī
uTho bahr-e-ḳhudā 'sābir' ki sar par āftāb aayā
Top Urdushayar.com