jin meñ kuchh lutf aur andāz-e-karam bhī kuchh haiñ
tum hī insāf se kah do sitam bhī kuchh haiñ
naaz tum ko hai jafā par to vafā par ham ko
tum agar kuchh ho mirī jaan to ham bhī kuchh haiñ
un kā ye qaul mire marne se kyā hotā hai
mujh ko da.avā hai mire dīda-e-nam bhī kuchh haiñ
jis ko dekho hai vahī banda-e-be-dām un kā
ai ḳhudā terī ḳhudā.ī meñ sanam bhī kuchh haiñ
hai abhī raah se guzrā koī maanā lekin
baat hī baat hai yā naqsh-e-qadam bhī kuchh haiñ
charḳh ke daur meñ yaksāñ nahīñ rahtā koī
rāhateñ thiiñ jinheñ kal tak unheñ ġham bhī kuchh haiñ
Turfa-tar hai tire maqtal kā tamāsha qātil
kuchh taḌapte haiñ tah-e-teġh-e-do-dam bhī kuchh haiñ
ḳhāna-e-dil meñ mire daulat-e-ulfat ke sivā
dāġh-hā-e-shab-e-furqat ke diram bhī kuchh haiñ
kuchh nahīñ kuchh nahīñ ai hazrat-e-'sābir' vo log
apne dil meñ jo samajhte haiñ ki ham bhī kuchh haiñ