Fazal Husain Sabir

qahr hua ghazab hua shor hai lala-zar mein

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
qahr huā ġhazab huā shor hai lāla-zār meñ
aag lagī bahār meñ aag lagī bahār meñ
apnā ma.āl-e-zindagī phūloñ ko dekh kar samajh
aaj ḳhizāñ-nasīb haiñ kal jo khile bahār meñ
dāġh-e-jigar ke phuul meñ phuul sadā-bahār ke
rahtā hai rañg ek saañ in kā ḳhizāñ bahār meñ
is husn is shabāb par nāz-o-ġhurūr is qadar
aaj hai aur kal nahīñ aap haiñ kis shumār meñ
mere gunāh bhī bahut rahmat-e-kirdgār bhī
ye bhī nahīñ shumār meñ vo bhī nahīñ shumār meñ
kis kī ziyā tirī ziyā kis kī jhalak tirī jhalak
anjum-o-mehr-o-māh meñ barq meñ nūr-o-nār meñ
taḌpeñ na ham to kyā kareñ dekh kar us ko ik nigāh
hoñ bijliyāñ bharī huī jis chashm-e-sehr-kār meñ
yār-o-azīz-o-aqrabā kā ye sulūk ba.ad-e-marg
dosh-ba-dosh le chale chhoḌne mujh ko ġhaar meñ
ḳhāl-o-ruḳh-e-habīb kī jalvagarī ke sāmne
chāñd hai kis qatār meñ taare haiñ kis shumār meñ
din shahīd-e-nāz kā kis kis jagah hai jalva-rez
kuchh hai shafaq meñ aur kuchh shāmil hai lāla-zār meñ
apne gunāh pe sharmsār dekh ke mujh ko roz-e-hashr
rahmat-e-haq ne le liyā 'sābir' mujhe kanār meñ
Top Urdushayar.com