Fakhr Zaman

kuchh baat nahin jism agar mera jala hai

Fakhr Zaman

kuchh baat nahīñ jism agar merā jalā hai
sad-shukr ki us bazm se sho.ala to uThā hai
maanā ki mire lawn kī phir sabz huī ghaas
is meñh meñ paḌosī kā makāñ bhī to girā hai
sardī hai ki is jism se phir bhī nahīñ jaatī
sūraj hai ki muddat se mire sar par khaḌā hai
har samt ḳhamoshī hai magar kahte haiñ kuchh log
is shahr meñ ik shor qayāmat kā bapā hai
dīvār se go iiñT khisak kar paḌī sar par
sad-shukr ki rauzan koī zindāñ meñ khulā hai
ab dekhiye kis raah meñ dīvār banegā
Dhalvān pe ik sañg-e-girāñ chal to paḌā hai
is saal mire khet meñ ole bhī paḌe haiñ
is saal mirī fasl ko kiiḌā bhī lagā hai
āñkheñ mirī raushan raheñ ḳhush-hāl rahūñ maiñ
ik andhī bhikāran kī mire haq meñ duā hai
maiñ bhuuk se behāl huuñ to ser-shikam hai
kyā merā ḳhudā vo nahīñ jo terā ḳhudā hai
Top Urdushayar.com