Fazal Husain Sabir

hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
hai jo ḳhāmosh but-e-hosh-rubā mere baad
gul khilā.egā koī aur nayā mere baad
tū jafāoñ se jo badnām kiye jaatā hai
yaad aa.egī tujhe merī vafā mere baad
koī shikva ho sitamgār to zāhir kar de
phir na karnā tū kabhī koī gila mere baad
ibrat-añgez hai afsāna mire marne kā
ruk ga.e haiñ qadam-e-umr-e-baqā mere baad
zamzame ḳhāna-e-sayyād ke kyuuñ gūñjte haiñ
kyā koī taaza giraftār huā mere baad
sar ke bal ishq kī manzil ko kiyā tai maiñ ne
nahīñ milte jo nishān-e-kaf-e-pā mere baad
'sābir'-e-ḳhasta ko har haal meñ yā rab rakh shaad
kahīñ aisā na ho ho sabr fanā mere baad
Top Urdushayar.com