Fazal Husain Sabir

bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
bul-havas kam-fahm hai vo aadmī nādān hai
jo ye samjhā ishq kuchh mushkil nahīñ āsān hai
kab maiñ kahtā huuñ ki merī jaan merī jaan hai
aap kī hai banda-parvar aap par qurbān hai
be-ḳhudī ke ba.ad kyā guzrī nahīñ kuchh bhī ḳhabar
jalva-gāh-e-nāz tak pahuñchā bas itnā dhyān hai
kis ke jalve se hai be-ḳhud anjuman kī anjuman
har bashar tasvīr hai har aa.ina hairān hai
mus.haf-e-ruḳhsār-e-jānāñ par numūd-e-ḳhat nahīñ
dekhne vaalo ye hai tafsīr vo qur.ān hai
us jagah pahuñchā jahāñ qudsī bhī jā sakte nahīñ
dar-haqīqat aadmī kī shaan bhī kyā shaan hai
us ke bande bandagī karte haiñ lekin ai buto
tum ḳhudā.ī kar rahe ho ye ḳhudā kī shaan hai
kyā chhupoge tum vahāñ vo kuchh tumhārā ghar nahīñ
hashr kā maidān āḳhir hashr kā maidān hai
aarzū miTne kī thī rāh-e-talab meñ miT chuke
aur ab ai hazrat-e-dil kahiye kuchh armān hai
aadmī to sab hī kahlāte haiñ lekin ḳhalq meñ
us kā rutba aur hai jo aadmī insān hai
'sābir'-e-āsī ke isyāñ kyuuñ na baḳhshegā ḳhudā
vo baḌā ġhaffār hai sattār hai rahmān hai
Top Urdushayar.com