Fazal Husain Sabir

ruKH ki rangat gulab ki si hai

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
ruḳh kī rañgat gulāb kī sī hai
aur chamak āftāb kī sī hai
kam-sinī meñ vo āfat-e-jāñ haiñ
jo adā hai shabāb kī sī hai
aap ke hote huur ko chāheñ
kyā vo sūrat janāb kī sī hai
ġhunche meñ koī baat bhī kahiye
dahan-e-lā-javāb kī sī hai
āñkheñ nargis laḌātī hai ham se
ye bhī us be-hijāb kī sī hai
ai gul-e-tar tire pasīne meñ
rañg aur bū gulāb kī sī hai
na ho bāvar to dekheñ ā.īna
shakl is meñ janāb kī sī hai
raushnī māh-o-mehr-e-anvar meñ
kab ruḳh-e-lā-javāb kī sī hai
abhī ubhre abhī miTeñge ham
apnī hastī habāb kī sī hai
kyuuñ na chūmeñ tumhārī sūrat ko
ye ḳhudā kī kitāb kī sī hai
tarz un ke sitam kī ai 'sābir'
karam-e-be-hisāb kī sī hai
Top Urdushayar.com