Fazal Husain Sabir

idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
idhar bhī dekh zarā be-qarār ham bhī haiñ
tire fidā.ī tire jāñ-nisār ham bhī haiñ
buto haqīr na samjho hameñ ḳhudā ke liye
ġharīb banda-e-parvar-digār ham bhī haiñ
kahāñ kī tauba ye mauqā hai phuul uḌāne kā
chaman hai abr hai saaqī hai yaar ham bhī haiñ
misāl-e-ġhuncha udhar ḳhanda-zan hai vo gul-e-tar
misāl-e-abr idhar ashk-bār ham bhī haiñ
jigar ne dil se kahā dard-e-hijr-e-jānāñ meñ
ki ek tū hī nahīñ be-qarār ham bhī haiñ
mudām sāmne ġhairoñ ke be-naqāb rahe
isī pe kahte ho tum parda-dār ham bhī haiñ
hameñ bhī dījiye apnī galī meñ thoḌī jagah
ġharīb balki ġharīb-ud-dayār ham bhī haiñ
shagufta bāġh-e-suḳhan hai hamīñ se ai 'sābir'
jahāñ meñ misl-e-nasīm-e-bahār ham bhī haiñ
Top Urdushayar.com