Fazal Husain Sabir

ishq mein kaun kaamyab hua

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
ishq meñ kaun kāmyāb huā
ishq jis ne kiyā ḳharāb huā
dekhnā hoñgī raḳhna-gar nazreñ
māne-e-dīd agar naqāb huā
rabt-e-bāham ne kar diyā mushkil
us kā maiñ vo mirā javāb huā
jal gayā tuur ġhash hue muusā
jab tirā husn be-naqāb huā
dekh kar aap mere ashkoñ kī
paanī paanī dur-e-ḳhush-āb huā
aa.ī piirī ga.iiñ umañgeñ sab
ḳhatm afsāna-e-shabāb huā
jab chale chaal vo qayāmat kī
uTh ke fitna bhī ham-rikāb huā
is qadar ḳhūgar-e-karam huuñ maiñ
mehr samjhā agar itaab huā
lafz kun kā thā muḳhtasar sā lafz
dar-haqīqat ye ik kitāb huā
bahr-e-ālam meñ sab haiñ dam-bhar ke
ġham hue maiñ huā habāb huā
ab kahāñ rāteñ aish kī 'sābir'
vo zamāna ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
Top Urdushayar.com