jahāñ meñ hai har ik ik na ik adā ke liye
koī vafā ke liye hai koī jafā ke liye
hai ek ghūñT bahut shaiḳh-e-pārsā ke liye
gilās bhar ke na do mai-kasho ḳhudā ke liye
hamāre dard ko be-dard dard jaane kyā
ye dard vo hai ki hai dard-āshnā ke liye
kahīñ tumhīñ ko tumhārī nazar na ho jaa.e
na dekho aa.ina ai jān-e-man ḳhudā ke liye
falak ko toḌ ke arsh-e-barīñ hilā denā
hai sahl kaam mire nāla-e-rasā ke liye
zahe-nasīb ki apne vafā-shi.āroñ meñ
mujhī ko chun liyā us shoḳh ne jafā ke liye
hadaf banā.egā dil ko mire jigar ko bhī
tirī nigāh kā paikāñ nahīñ ḳhatā ke liye
falak se hotī haiñ nāzil balā.eñ ban ban kar
kabhī jo haath uThātā huuñ maiñ ḳhudā ke liye
jahān meñ koī is se judā nahīñ ai dil
ḳhatā bashar ke liye hai bashar ḳhatā ke liye
agar hai sar tire ḳhanjar ke vāste ai tark
to hai jigar bhī mirā nāvak-e-adā ke liye
milā usī ko maza zindagī kā ai 'sābir'
jo mar-miTā hai kisī shoḳh-e-pārsā ke liye