Fazal Husain Sabir

tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
tuur par kyā munhasir hai jis taraf jaatā huuñ maiñ
tere jalve kī jhalak har chiiz meñ paatā huuñ maiñ
ālam-e-ġhurbat meñ tanhā.ī se ghabrātā huuñ maiñ
yād-e-ahbāb-e-vatan se dil ko bahlātā huuñ maiñ
haa.e mastī meñ nahīñ rahtā zabāñ par iḳhtiyār
bātoñ bātoñ meñ na kahne kī bhī kah jaatā huuñ maiñ
ai adam ke jaane vaalo koī dam kī der hai
musta.id huuñ maiñ bhī aane ke liye aatā huuñ maiñ
manzil-e-maqsūd tak pahuñchūñ yahī dhun hai mujhe
dam nahīñ letā kahīñ baḌhtā chalā jaatā huuñ maiñ
muḳhtasar rūdād hai ye be-qarārī kī mirī
ḳhud taḌap kar dekhne vāloñ ko taḌpātā huuñ maiñ
kyā kisī kā husn hai ġhārat-gar-e-tāb-o-tavāñ
dekhte hī ik jhalak behosh ho jaatā huuñ maiñ
merī hastī un kī mahfil meñ garāñ-ḳhātir nahīñ
sūrat-e-bād-e-sabā jaatā huuñ maiñ aatā huuñ maiñ
de rahe haiñ kyā mujhe jiine ke ta.ane baar baar
nā-munāsib hai mirā jiinā to mar jaatā huuñ maiñ
ahl-e-mahfil ko sunātā huuñ mazāmīn-e-bahār
tab-e-rañgīñ ke zarīye phuul barsātā huuñ maiñ
garche qatra thā magar dariyā meñ milne ke sivā
mauj ban kar sat.h par dariyā kī lahrātā huuñ maiñ
bār-e-ḳhātir hai agar mahfil meñ merā baiThnā
kaisī mahfil lo zamāne se uThā jaatā huuñ maiñ
dar-haqīqat mere haq meñ maut kā paiġhām thā
un kā ye kahnā ḳhudā-hāfiz tirā jaatā huuñ maiñ
nāḳhun-e-tadbīr se taqdīr kā letā huuñ kaam
apnī har uljhī huī gutthī ko suljhātā huuñ maiñ
merī istid.ā pe mujh ko Tālne ke vāste
kah diyā zālim ne achchhā tum chalo aatā huuñ maiñ
qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisār
ġhāziyān-e-qaum kī tārīḳh dohrātā huuñ maiñ
kyuuñ na ho 'sābir' mire sher-o-suḳhan meñ puḳhtagī
mo'taqid jab hazrat-e-'nāsiḳh' kā kahlātā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com