Fazal Husain Sabir

na koi aarzu jis mein ho wo ujDa hua dil hun

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
na koī aarzū jis meñ ho vo ujḌā huā dil huuñ
ġharaz be-kār huuñ ik dam jalā dene ke qābil huuñ
tujhe ulfat adū kī hai adū ko terī ulfat hai
na ab tū mere qābil hai na ab maiñ tere qābil huuñ
mujhe āsāñ na samjho apnī chaukhaT se uThā denā
baḌī mushkil se jo Taltī hai ai jaañ maiñ vo mushkil huuñ
siyah-baḳhtī meñ bhī maiñ ne vo rañg apnā jamāyā hai
kisī kī aañkh meñ kājal kisī ke gaal par til huuñ
adū par zulm dhāte ho na us ko qatl karte ho
usī par hai tumheñ da.avā ki zālim huuñ maiñ qātil huuñ
halāvat se adū ko aur mujhe talḳhī se farmāyā
tumheñ qand-e-mukarrar hoñ tumheñ zahr-e-halāhil huuñ
nahīñ mumkin tamannā-e-mulāqāt un se bar aa.e
ki vo anjān haiñ ai hazrat-e-'sābir' maiñ an-mil huuñ
Top Urdushayar.com