Naseer Parwaz

samajh ke farz kabhi din ko raat mat karna

Naseer Parwaz

Sagar, Madhya Pradesh, India

1940
samajh ke farz kabhī din ko raat mat karnā
guzarte lamhoñ se taqsīm zaat mat karnā
bachā kar tez havā meñ bikharnā paḌtā hai
anā ko nazar ġham-e-hādsāt mat karnā
na jaane kaun kahāñ kyā savāl kar baiThe
ġhubār-e-rāhguzar apne saath mat karnā
sameTnā na sar-e-rāh ḳhvāb kī kircheñ
lahū-luhān kabhī apne haath mat karnā
nahīñ gunāh kisī shai kī aarzū lekin
is aarzū ko ġham-e-kā.enāt mat karnā
haiñ darmiyāñ meñ abhī fāsle usūloñ ke
qarīb aa ke abhī mujh se baat mat karnā
zavāl-e-zāt to 'parvāz' sab kī qismat hai
yaqīn-e-dil ko magar be-sabāt mat karnā
Top Urdushayar.com