Fakhr Zaman

lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun

Fakhr Zaman

lamhoñ kā bhañvar chiir ke insān banā huuñ
ehsās huuñ maiñ vaqt ke siine meñ gaḌā huuñ
kahne ko to har mulk meñ ghūmā huuñ phirā huuñ
sochūñ to jahāñ thā vahīñ chup-chāp khaḌā huuñ
fōt-pāth pe arse se paḌā soch rahā huuñ
pattā to maiñ sarsabz thā kyuuñ TuuT girā huuñ
ik roz zar-o-sīm ke ambār bhī the hech
bikne pe jo aayā huuñ to kauḌī pe bikā huuñ
shāyad ki kabhī mujh pe bhī hiire kā gumāñ ho
dekho to maiñ patthar huuñ magar soch rahā huuñ
hālāt kā dhārā kabhī aise bhī rukā hai
nādāñ huuñ ki maiñ ret ke band bāñdh rahā huuñ
ik ret kī dīvār kī sūrat the sab ādarsh
jin ke liye ik umr maiñ duniyā se laḌā huuñ
ahbāb kī nazroñ meñ huuñ gar vājib-e-tāzīm
kyuuñ apnī nigāhoñ meñ burī tarah girā huuñ
ai 'faḳhr' garajkā mirī fitrat sahī lekin
jo ġhair kī marzī se hī barse vo ghaTā huuñ
Top Urdushayar.com