ḳhush-adāoñ se bas allāh bachā.e dil ko
ki banā lete haiñ apnā ye parā.e dil ko
ishq āsāñ nahīñ ai jaan baḌā mushkil hai
jaan de de magar insāñ na lagā.e dil ko
ye vo muztar hai ki Thahrā hai na Thahregā kabhī
laakh muTThī meñ koī apne dabā.e dil ko
nigah-e-yār bhī hai taak meñ andāz bhī hai
in luTeroñ se bas allāh bachā.e dil ko
haath us gauhar-e-ḳhūbī ke hai beḌā 'sābir'
bahr-e-ulfat meñ Dubā.e yā tirā.e dil ko