Fazal Husain Sabir

tu agar be-naqab ho jata

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
tū agar be-naqāb ho jaatā
to har ik faizyāb ho jaatā
taare sab māhtāb ho jaate
māhtāb āftāb ho jaatā
likhte dīvān meñ jo vasf-e-ruḳh
har varaq āftāb ho jaatā
tū batātā jo rāh-e-mai-ḳhāna
shaiḳh kār-e-savāb ho jaatā
imtihāñ lete haiñ vo maqtal meñ
pahle maiñ intiḳhāb ho jaatā
thī havā-e-ḳhudī bharī is meñ
kyuuñ na be-ḳhud habāb ho jaatā
jaag uThte nasīb āshiq ke
yaar agar mast-e-ḳhvāb ho jaatā
chain se sote farsh-e-rāhat par
jo ḳhayāl un kā ḳhvāb ho jaatā
shab-e-va.ada agar na aate aap
ḳhvāb bhī mujh ko ḳhvāb
kaash ai dard-e-ishq tere liye
dil mirā intiḳhāb ho jaatā
yārab us but ko shoḳhiyāñ ātīñ
duur us se hijāb ho jaatā
chaal chalte jo tum qayāmat kī
fitna hī ham-rikāb ho jaatā
apnā nāḳhun tarāshtā vo ḳhud
mah-e-nau kā javāb ho jaatā
jañg hotī adū se ai 'sābir'
aur maiñ fat.h-yāb ho jaatā
Top Urdushayar.com