pher kar teġh-e-nazar teġh-e-jafā se pahle
maar Daalā mujhe zālim ne qazā se pahle
ab mirā ḳhūn-e-jigar hāthoñ meñ malte haiñ vo
us se nafrat thī jinheñ rañg-e-hinā se pahle
zulf meñ chhūne na paayā ki bañdhe mere haath
dī sitamgar ne sazā mujh ko ḳhatā se pahle
shauq-e-dīdār kī tezī se maiñ aksar har sub.h
kūcha-e-yār meñ jaatā huuñ sabā se pahle
aisī tāsīr pe sau jaan se sadme qurbāñ
mere ghar aa ga.e vo merī duā se pahle
paas 'sābir' kā buto aaj na karnā paḌtā
duur rahte agar is mard-e-ḳhudā se pahle