sochnā ruuh meñ kāñTe se bichhā.e rakhnā
ye bhī kyā saañs kī talvār banā.e rakhnā
ab to ye rasm hai ḳhushbū ke qasīde paḌhnā
phuul gul-dān meñ kāġhaz ke sajā.e rakhnā
tīrgī TuuT paḌe bhī to burā mat kahiyo
ho sake gar to charāġhoñ ko jalā.e rakhnā
raah meñ bhiiḌ bhī paḌtī hai abhī se sun lo
haath se haath milā hai to milā.e rakhnā
kitnā āsān hai tā.īd kī ḳhū kar lenā
kitnā dushvār hai apnī koī raa.e rakhnā
koī taḳhlīq bhī takmīl na paa.e mirī
nazm likh luuñ to mujhe naam na aa.e rakhnā
apnī parchhā.īñ se muñh moḌ na lenā 'anvar'
tum use aaj bhī bātoñ meñ lagā.e rakhnā