Anwar Masood

paDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
paḌhne bhī na paa.e the ki vo miT bhī ga.ī thī
bijlī ne ghaTāoñ pe jo tahrīr likhī thī
chup saadh ke baiThe the sabhī log vahāñ par
parde pe jo tasvīr thī kuchh bol rahī thī
lahrāte hue aa.e the vo amn kā parcham
parcham ko uThā.e hue neze kī anī thī
Duube hue tāroñ pe maiñ kyā ashk bahātā
chaḌhte hue sūraj se mirī aañkh laḌī thī
is vaqt vahāñ kaun dhuāñ dekhne jaa.e
aḳhbār meñ paḌh leñge kahāñ aag lagī thī
shabnam kī tarāvish se bhī dukhtā thā dil-e-zār
ghanghor ghaTāoñ ko barasne kī paḌī thī
palkoñ ke sitāre bhī uḌā le ga.ī 'anvar'
vo dard kī āñdhī ki sar-e-shām chalī thī
Top Urdushayar.com