Fakhr Zaman

hum log to aakas ki belon mein ghire hain

Fakhr Zaman

ham log to ākās kī beloñ meñ ghire haiñ
ḳhush-baḳht haiñ jo gulshan-e-hastī meñ khile haiñ
is dhuup kī shiddat se nahīñ koī mafar ab
dīvār ke saa.e meñ baḌe log khaḌe haiñ
kis kis ko dikhāte raheñ jeboñ ke ye sūrāḳh
har moḌ par kashkol liye log khaḌe haiñ
ik roz hamīñ hoñge ujāle ke payambar
ham log ki muddat se añdhere meñ paḌe haiñ
ye ziist kuchh aise hai ki uljhe hue dhāge
TuuTe hue nikleñ jinheñ samjheñ ki sire haiñ
har roz koī Tāñkā udhaḌ jaatā hai phir se
ham vaqt kī sozan se ka.ī baar sile haiñ
jab vaqt paḌā dekhnā de jā.eñge dhokā
ye dost nahīñ 'faḳhr' sabhī kachche ghaḌe haiñ
Top Urdushayar.com