Anwar Masood

bas ab tark-e-talluq ke bahut pahlu nikalte hain

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
bas ab tark-e-ta.alluq ke bahut pahlū nikalte haiñ
so ab ye tai huā hai shahr se sādhū nikalte haiñ
ham aa nikle ajab se ek sahrā-e-mohabbat meñ
shikārī ke ta.āqub meñ yahāñ aahū nikalte haiñ
ye ik manzar bahut hai umr bhar hairān rahne ko
ki miTTī ke masāmoñ se bhī rañg-o-bū nikalte haiñ
zamīr-e-sañg tujh ko terā paikar-sāz aa pahuñchā
abhī āñkheñ ubhartī haiñ abhī aañsū nikalte haiñ
koī nādir ḳhazīna hai mire dast-e-tasarruf meñ
jhapaTne ko dar-o-dīvār se baazū nikalte haiñ
maiñ apne dushmanoñ kā kis qadar mamnūn huuñ 'anvar'
ki un ke shar se kyā kyā ḳhair ke pahlū nikalte haiñ
Top Urdushayar.com