Anwar Masood

main dekh bhi na saka mere gird kya gaya tha

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
maiñ dekh bhī na sakā mere gird kyā gayā thā
ki jis maqām pe maiñ thā vahāñ ujālā thā
durust hai ki vo jañgal kī aag thī lekin
vahīñ qarīb hī dariyā bhī ik guzartā thā
tum aa ga.e to chamakne lagī haiñ dīvāreñ
abhī abhī to yahāñ par baḌā añdherā thā
laboñ pe ḳhair tabassum bikhar bikhar hī gayā
ye aur baat ki hañsne ko dil tarastā thā
sunā hai log bahut se mile the raste meñ
mirī nazar se to bas ek shaḳhs guzrā thā
ulajh paḌī thī muqaddar se aarzū merī
dam-e-firāq use roknā bhī chāhā thā
mahak rahā hai chaman kī tarah vo ā.īna
ki jis meñ tū ne kabhī apnā ruup dekhā thā
ghaTā uThī hai to phir yaad aa gayā 'anvar'
ajiib shaḳhs thā akasr udaas rahtā thā
Top Urdushayar.com