jo bārishoñ meñ jale tund āñdhiyoñ meñ jale
charāġh vo jo bagūloñ kī chimniyoñ meñ jale
vo log the jo fareb-e-nazar ke matvāle
tamām umr sarāboñ ke pāniyoñ meñ jale
kuchh is tarah se lagī aag bādbānoñ ko
ki Dūbne ko bhī tarse jo kashtiyoñ meñ jale
yahī hai faisla terā ki jo tujhe chāhe
vo dard-o-karb-o-alam kī kaThāliyoñ meñ jale
dam-e-firāq ye maanā vo muskurāyā thā
magar vo diip ki chupke se añkhḌiyoñ meñ jale
vo jhiil jhiil meñ jhurmuT na the sitāroñ ke
charāġh the ki jo chāñdī kī thāliyoñ meñ jale
dhuāñ dhuāñ hai daraḳhtoñ kī dāstāñ 'anvar'
ki jañgaloñ meñ pale aur bastiyoñ meñ jale