jis tarah kī haiñ ye dīvāreñ ye dar jaisā bhī hai
sar chhupāne ko mayassar to hai ghar jaisā bhī hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbateñ haiñ be-shumār
merī chāhat kā hai mehvar ye nagar jaisā bhī hai
chal paḌā huuñ shauq-e-be-parvā ko murshid maan kar
rāsta pur-pech hai yā pur-ḳhatar jaisā bhī hai
sab gavārā hai thakan saarī dukhan saarī chubhan
ek ḳhushbū ke liye hai ye safar jaisā bhī hai
vo to hai maḳhsūs ik terī mohabbat ke liye
terā 'anvar' bā-hunar yā be-hunar jaisā bhī hai