is ibtidā kī salīqe se intihā karte
vo ek baar mile the to phir milā karte
kivāḌ garche muqaffal the us havelī ke
magar faqīr guzarte rahe sadā karte
hameñ qarīna-e-ranjish kahāñ mayassar hai
ham apne bas meñ jo hote tirā gilā karte
tirī jafā kā falak se na tazkira chheḌā
hunar kī baat kisī kam-hunar se kyā karte
tujhe nahīñ hai abhī fursat-e-karam na sahī
thake nahīñ haiñ mire haath bhī duā karte
unheñ shikāyat-e-be-rabtī-e-suḳhan thī magar
jhijak rahā thā maiñ iz.hār-e-mudda.ā karte
chiqeñ girī thiiñ darīchoñ pe chaar sū 'anvar'
nazar jhukā ke na chalte to aur kyā karte