Anwar Masood

kab talak yun dhup chhanw ka tamasha dekhna

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
kab talak yuuñ dhuup chhāñv kā tamāshā dekhnā
dhuup meñ phirnā ghane peḌoñ kā saayā dekhnā
saath us ke koī manzar koī pas-e-manzar na ho
is tarah maiñ chāhtā huuñ us ko tanhā dekhnā
raat apne dīda-e-giryāñ kā nazzāra kiyā
kis se pūchheñ ḳhvāb meñ kaisā hai dariyā dekhnā
is ghaḌī kuchh sūjhne degī na ye pāgal havā
ik zarā āñdhī guzar jaa.e to huliya dekhnā
khul ke ro lene kī fursat phir na us ko mil sakī
aaj phir 'anvar' hañsegā be-tahāshā dekhnā
Top Urdushayar.com